Umar Ansari

jis aaine mein bhi jhanka nazar usi se mili

Umar Ansari

Lucknow, Uttar pradesh, India

1912-2005
jis ā.īne meñ bhī jhāñkā nazar usī se milī
mujhe to apnī bhī yaaro ḳhabar usī se milī
badal badal ke chalā samt o rahguzar bhī magar
vo ik maqām ki har rahguzar usī se milī
ham aise koī hunar-mand bhī na the phir bhī
vo qadr-dāñ thā ki dād-e-hunar usī se milī
vo kaun haiñ jo banāte haiñ apnī duniyā ḳhud
hameñ to rone ko bhī chashm-e-tar usī se milī
ajab thā shaḳhs jo phirtā thā ḳhud banā talvār
chalī jo teġh to mujh ko sipar usī se milī
qadam qadam pe the raste meñ mah-vashoñ ke hujūm
milī kisī se to jā kar nazar usī se milī
na kisht-zāroñ meñ dekhā jise na bāġhoñ meñ
har ek fasl magar fasl par usī se milī
tamām umr gurezāñ rahā thā jis se maiñ
qadam lahad meñ jo rakkhe kamar usī se milī
basīrat-e-nigah-o-dil paḌī nahīñ miltī
milī jise bhī ye daulat 'umar' usī se milī
Top Urdushayar.com