Umar Ansari

kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya

Umar Ansari

Lucknow, Uttar pradesh, India

1912-2005
kar apnī baat ki pyāre kisī kī baat se kyā
liyā hai kaam batā tū ne is hayāt se kyā
yahāñ to jo bhī hai raahī hai band galiyoñ kā
nikal ke dekhā hai kis ne hisār-e-zāt se kyā
thī band band bahut guftugū-e-yār magar
khule haiñ uqda-e-dil us kī baat baat se kyā
vo chup lagī hai ki hañstā hai aur na rotā hai
ye ho gayā hai ḳhudā jaane dil ko raat se kyā
ye rāz-e-dair-o-haram hai kisī ko kyā ma.alūm
kahāniyoñ ko ilāqa hai vāqi.āt se kyā
shikast kā to kisī ko jahāñ gumāñ bhī na thā
nikal ga.e haiñ vo maidāñ hamāre haat se kyā
haiñ roz-e-abr ke mushtāq-e-dīd to lākhoñ
liyā hai kis ne magar abr ke sifāt se kyā
har ik to apnī ġharaz le ke ham se miltā hai
uThā.eñ fā.eda kis ke ta.alluqāt se kyā
koī to maqsad-e-sher-o-adab bhī hogā 'umar'
na hoñ jo kaam kī aisī nigārshāt se kyā
Top Urdushayar.com