Umar Ansari

ho ke us kuche se aai to sitam Dha gai kya

Umar Ansari

Lucknow, Uttar pradesh, India

1912-2005
ho ke us kūche se aa.ī to sitam Dhā ga.ī kyā
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki sabā pā ga.ī kyā
ye vahī merā nagar hai to mire yaar yahāñ
ek bastī mire pyāroñ kī thī kaam aa ga.ī kyā
merī sarhad meñ ġhanīmoñ kā guzar kaise huā
thī saroñ kī vo jo dīvār khaḌī Dhā ga.ī kyā
yuuñ to kahne ko bas ik mauj thī paanī kī magar
dekhnā ye haiñ ki pal-bhar meñ ġhazab Dhā ga.ī kyā
ba.ad muddat ke milā hai to mire yaar batā
terī āñkhoñ meñ jo ik barq thī kajlā ga.ī kyā
ab kisī baat meñ bhī jī nahīñ lagtā merā
dil meñ aa baiThī thī jo ḳhvāhish-e-duniyā ga.ī kyā
tazkire jis ke kitāboñ meñ paḌhā karte the
dekh bhaa.ī vo qayāmat kī ghaḌī aa ga.ī kyā
tere chehre pe 'umar' aaj ye raunaq kaisī
phir tabī.at koī mauzū-e-suḳhan pā ga.ī kyā
Top Urdushayar.com