jab tak vo sho.ala-rū mire pesh-e-nazar na thā
maiñ āshnā-e-lazzat soz-e-jigar na thā
e.azāz-e-rañg-o-bū se navāzā gayā use
jis gul ke sar pe sāya-e-shāḳh-e-shajar na thā
afsos aap se na huā azm-e-iltifāt
varna mirā pahāḌ kī choTī pe ghar na thā
jo āsmāñ kī jhiil meñ chamkā tamām raat
vo terā ak-e-naqsh-e-qadam thā qamar na thā
shabnam se tar thā mere sirhāne kā surḳh phuul
lekin abhī to raat kā pichhlā pahar na thā
guzrī hai yuuñ uThā.e hue zindagī kā bojh
jaise maiñ koī pul kā sutūñ thā bashar na thā