vaqt se ham gila nahīñ karte
kaam koī burā nahīñ karte
ashk bhī hoñ ruḳh-e-tabassum par
zindagī yuuñ jiyā nahīñ karte
husn vaalo zarā batāo nā
kyuuñ kisī se vafā nahīñ karte
kuchh to paate hī hoñge parvāne
be-vajah hī jalā nahīñ karte
dil hai yaarā koī makān nahīñ
har kisī ko diyā nahīñ karte
ishq kī ibtidā hai tum se agar
mujh pe kyuuñ intihā nahīñ karte
muskurānā to bhuul hī jaao
ashk bhī ab bahā nahīñ karte
tum ko āsān hai bhulā denā
ham magar ye kiyā nahīñ karte
ashk piine kī lat lagī ho jinheñ
jām-e-farhat piyā nahīñ karte
jin ke dil meñ junūn-o-ulfat ho
shauq-e-ḳhanda rakhā nahīñ karte
māh-e-kāmil ho tum ho aur meñ huuñ
ye nazāre dikhā nahīñ karte
maiñ burā huuñ magar anokhā huuñ
mere jaise milā nahīñ karte
ḳhaas hotī haiñ bāteñ kuchh apnī
sab se sab kuchh kahā nahīñ karte
dard ne sab sikhā diyā hai 'safīr'
varna ham to likhā nahīñ karte