durusht kyuuñ thā vo itnā kalām se pahle
ki merā naam na thā us ke naam se pahle
vo sab charāġh ki thī jin meñ raushnī kī ramaq
bujhā diye ga.e bastī meñ shaam se pahle
vo mehrbāñ bhī hue dushmanī pe āmāda
ham āshnā bhī na the jin ke naam se pahle
ḳhud-e'timād kabhī the par ab ye aalam hai
hazār vasvase dil meñ haiñ kaam se pahle
hamāre dars-e-mohabbat kā pūchhte kyā ho
kitābī chehra paḌhā hai kalām se pahle
subuk-ravān-e-rah-e-ġham ne zindagī 'mohsin'
musāfirāna guzārī qayām se pahle