koī dil-jūī nahīñ thī koī shunavā.ī na thī
jaise ahl-e-shahr se merī shanāsā.ī na thī
mujh ko ik chup-chāp se chehre ne zaḳhmī kar diyā
maiñ ne aisī choT saarī zindagī khaa.ī na thī
ġhaur se dekheñ to hai yādoñ ke rañgoñ kā kamāl
is qadar dilkash kabhī tasvīr-e-tanhā.ī na thī
kar diyā jis ne mujhe phir zindagī se ham-kanār
thā mirā zauq-e-yaqīñ terī masīhā.ī na thī
bāġhbāñ kī ik zarā sī laġhzish-e-tartīb se
mausam-e-gul thā magar gulshan meñ ra.anā.ī na thī
jin se thī insāf kī ummīd ahl-e-dard ko
ġhaur se dekhā to un āñkhoñ meñ bīnā.ī na thī
nā-ḳhudā mujh ko apāhij kar gayā varna 'asad'
āsmāñ ūñchā na thā dariyā meñ gahrā.ī na thī