havā-o-hirs kī duniyā meñ dar-ba-dar hue ham
ḳhabar jahāñ kī rakhī ḳhud se be-ḳhabar hue ham
qafas meñ the to par-o-bāl the sharīk-e-malāl
chaman meñ aa.e to mahrūm-e-bāl-o-par hue ham
kanāra-gīr tamāshā.iyoñ se kaisā gila
har ek mauja-e-tūfāñ ke ham-safar hue ham
hamāre hausle kī daad to adū ne bhī dī
chale haiñ nāvak-e-dushnām to sipar hue ham
vo jis safar meñ murād-e-safar yaqīnī thī
usī safar pe na āmāda-e-safar hue ham
hamārī manzilat-o-qadr apne fan se hai
hunar-shanās hue ham to mo'atabar hue ham
hamāre paas hai 'mohsin' matā-e-hairānī
vo intizār rahā hai ki chashm-e-dar hue ham