Mohsin Ehsan

main ek umr ke baad aaj KHud ko samjha hun

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
maiñ ek umr ke ba.ad aaj ḳhud ko samjhā huuñ
agar rukūñ to kinārā chalūñ to dariyā huuñ
jo lab-kushā huuñ to hañgāma-e-bahār huuñ maiñ
agar ḳhamosh rahūñ to sukūt-e-sahrā huuñ
tujhe ḳhabar bhī hai kuchh ai masarratoñ ke naqīb
maiñ kab se sāya-e-dīvār-e-ġham meñ baiThā huuñ
jhulas ga.ī hai havā-e-dayār-e-dard mujhe
bas ek pal ke liye shahr-e-ġham meñ Thahrā huuñ
mirī ḳhudī meñ nihāñ hai mire ḳhudā kā vajūd
ḳhudā ko bhuul gayā jab se ḳhud ko samjhā huuñ
maiñ apne paañv kā kāñTā maiñ apne ġham kā asiir
misāl-e-sañg-e-garāñ rāste meñ baiThā huuñ
bulandiyoñ se mirī samt dekhne vaale
mire qarīb to aa maiñ bhī ek duniyā huuñ
agar hai maqtal jānāñ kā ruḳh to ai 'mohsin'
zarā Thahar ki tire saath maiñ bhī chaltā huuñ
Top Urdushayar.com