Mohsin Ehsan

raushniyan badan badan tere mere lahu se hain

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
raushniyāñ badan badan tere mire lahū se haiñ
lams kī saarī lazzateñ jism kī hāv-hū se haiñ
qurbat-e-roz-roz meñ ranjisheñ itnī baḌh ga.iiñ
vo bhī gurez-pā se haiñ ham bhī bahāna-jū se haiñ
Dar hai ki shām-e-hijr meñ dil kā diyā bujhā na deñ
ab ke havā kī sāzisheñ shola-e-ārzū se haiñ
jitne ḳhizāñ ke Dhañg haiñ jitne fazā meñ rañg haiñ
mere hī ḳhār-o-ḳhas se haiñ mere hī rañg-o-bū se haiñ
merī matā-e-zindagī ḳhvāhish-e-zaḳhm hī to hai
mere junūñ ke silsile lazzat-e-justujū se haiñ
ḳhush haiñ ki lauT aa.e haiñ saare musāfirān-e-ġham
garche ye surḳh-rū nahīñ phir bhī ye surḳh-rū se haiñ
jis ke kamāl-e-tanz se shahr sarāpā zaḳhm hai
us ko sabhī shikāyateñ mohsin-e-qand-ḳhū se haiñ
Top Urdushayar.com