kis e'timād se ilzām dhar ga.e apne
hamāre naam ko badnām kar ga.e apne
ab un ke naqsh-e-qadam rāstoñ meñ kyā DhūñDeñ
parā.ī manziloñ ko ham-safar ga.e apne
bahār ne kiyā mansūba-e-hinā-bandī
manāo jashn ki sab zaḳhm bhar ga.e apne
phir us ke ba.ad faqat maiñ thā merā saayā thā
jo dasht dasht the ham-rāh ghar ga.e apne
jab ek miir bhī ham-sā.e meñ mire royā
to ye gumāñ huā dīvār-o-dar ga.e apne
hameñ adū se ho 'mohsin' gila to kyūñkar ho
hamāre shahr ko vīrān kar ga.e apne