Mohsin Ehsan

dekha use dil-gir to dil-gir hua main

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
dekhā use dil-gīr to dil-gīr huā maiñ
kis dard kā rishta thā ki zanjīr huā maiñ
jis ḳhaak kā paivand hue nauhagar-e-harf
us ḳhaak kī tāsīr se iksīr huā maiñ
ai bād-o-tar-o-tāza mujhe ġhaur se paḌh le
qirtās-e-pazīrā.ī pe tahrīr huā maiñ
kis hairat-e-ā.īna ke naḳhchīr haiñ donoñ
tasvīr huā vo kabhī tasvīr huā maiñ
sau baar jo andar se maiñ TuuTā huuñ to ik baar
bāhar se nazar aayā ki ta.amīr huā maiñ
jo maiñ ne kabhī niiñd meñ dekhā hī nahīñ thā
dukh ye hai ki us ḳhvāb kī ta.abīr huā maiñ
kis hijr se guzrā huuñ ki be-sāḳhta 'mohsin'
lailā-e-tamannā se baġhal-gīr huā maiñ
Top Urdushayar.com