shahr kā shahr luTerā hai nazar meñ rakhiye
ab matā-e-ġham-e-jānāñ bhī na ghar meñ rakhiye
kyā ḳhabar kaun se raste meñ vo rahzan mil jaa.e
apnā saaya bhī na ab saath safar meñ rakhiye
ab kahīñ se na ḳharīdār-e-vafā aa.egā
ab koī jins na bāzār-e-hunar meñ rakhiye
sar-e-dīvār vo ḳhurshīd-ba-kaf aayā hai
ab charāġh-e-dil-o-jāñ rāhguzar meñ rakhiye
sho.ala-e-dard liye dil-zadagāñ nikle haiñ
ab koī aag na.ī barq-o-sharar meñ rakhiye
chashma-e-chashm pe 'mohsin' vo nahāne aayā
ab sadā us ko isī dīda-e-tar meñ rakhiye