jo bazm-e-dahr meñ kal tak the ḳhud-suroñ kī tarah
bikhar ga.e haiñ vo TuuTe hue paroñ kī tarah
shikasta ruuh hai jismoñ ke gumbadoñ meñ asiir
haiñ mere daur ke insān maqbaroñ kī tarah
Daro tum un se ki vo rāz-dār-e-tūfāñ haiñ
jo ek umr se chup haiñ samundaroñ kī tarah
paḌā jo vaqt to vo phir nazar nahīñ aa.e
yaqīñ kareñ ki jo milte the dilbaroñ kī tarah
haqīqatoñ kā kareñ sāmnā dilerī se
na ye ki muuñd leñ āñkheñ kabūtaroñ kī tarah