Mohsin Ehsan

aql kahti hai koi DhunD mafar ki surat

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
aql kahtī hai koī DhūñD mafar kī sūrat
dil ye kahtā hai badal jā.egī ghar kī sūrat
kaun raste meñ inheñ chhoḌ ke jā saktā hai
ḳhvāhisheñ hotī haiñ sāmān-e-safar kī sūrat
aadmī taash ke patte haiñ tire hāthoñ meñ
ai ḳhudā tū bhī to hai shobada-gar kī sūrat
merī tar-dāmanī-e-chashm pe yuuñ tanz na kar
maiñ sadaf huuñ tū mirā dil hai guhar kī sūrat
apnī hī zaat kā ik dā.era bun rakkhā hai
apnī gardish meñ haiñ ham log bhañvar kī sūrat
jaane kis samt ye shorīda-sarī le jaa.e
zad meñ āñdhī kī huuñ TuuTe hue par kī sūrat
kaun aayā sar-e-sahrā-e-mohabbat 'mohsin'
zarra zarra mahak uTThā gul-e-tar kī sūrat
Top Urdushayar.com