Mohsin Ehsan

apne andar se jo bahar nikle

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
apne andar se jo bāhar nikle
ḳhud-numā.ī kā samundar nikle
ab sazā.eñ hī muqaddar Thahrīñ
tāziyānoñ ke sanā-gar nikle
aise bhī log haiñ is shahr meñ jo
dhuup meñ barf pahan kar nikle
fāḳhtāoñ kā tamasḳhur tauba
chiyūñTiyoñ ke bhī ajab par nikle
haath jab qabza-e-shamshīr pe ho
kyuuñ na maqtal meñ dilāvar nikle
khīñch do daar pe dil-dāroñ ko
shahryāroñ kā zarā Dar nikle
jis bhī dīvār meñ dar kartā huuñ
vahī dīvār pas-e-dar nikle
kashtiyāñ chhoḌ ke dariyāoñ meñ
regzāroñ se shanāvar nikle
āñdhiyoñ meñ bhī khaḌe haiñ ab tak
ham daraḳhtoñ se qad-āvar nikle
bhiik us shahr meñ ham kyā māñgeñ
jis ke hātim bhī gadāgar nikle
paañv meñ bāñdh ke ghuñghrū 'mohsin'!
chand qabroñ ke mujāvir nikle
Top Urdushayar.com