chaar jānib se sadā aa.ī mirī
sho.abada ban ga.ī tanhā.ī mirī
maut ko jab se muqābil dekhā
zindagī ho ga.ī shaidā.ī mirī
ab bhī yārān-e-girafta-dil ko
yaad hai anjuman-ārā.ī mirī
lab-kushā.ī se milī rif.at-e-dār
kis bulandī pe hai goyā.ī mirī
raat phailī to sar-e-ḳhalvat-e-ġham
be-karāñ ban ga.ī tanhā.ī mirī
sub.h chamkī to ġhubār-e-shab se
be-muhābāna sadā aa.ī mirī
umr bhar merā muḳhātib vo thā
baat jis ko na samajh aa.ī mirī
dil-e-nādāñ ne Duboyā 'mohsin'
kaam kuchh aa.ī na dānā.ī mirī