ta.alluqāt kā ik ye bhī shāḳhsāna huā
hadaf meñ us kā banā jis se dostāna huā
kasīdagī-e-marāsim se mutma.in huuñ bahut
fasurda-ḳhātirī-e-yār to bahāna huā
ab us se rasm-o-rah-e-dostī nahīñ mumkin
ye ek faisla honā thā vālihāna huā
mire ḳhudā ne talab se mujhe ziyāda diyā
mirā nasīb na maharūm-e-āb-o-dāna huā
duā-e-ḳhair ki ab bijliyoñ kī zad meñ hai
mirā qafas huā yā terā āshiyāna huā
kuchh us kā husn thā kuchh zevaroñ kī zebā.ish
ye ḳhvāb thā use dekhe hue zamāna huā
ye dil ki jis meñ haiñ madfūn saiñkaḌoñ yādeñ
navādirāt kā 'mohsin' koī ḳhazāna huā