saa.e kī ummīd thī tārīkiyāñ phailā gayā
jo shajar phūTā zamīñ se biij hī ko khā gayā
kyā gila tujh se ki gulshan kā muqaddar hai yahī
abr ghir kar jab bhī aayā aag hī barsā gayā
ab kināroñ se na māñge qatre qatre kā hisāb
kyuuñ samundar kī taraf bahtā huā dariyā gayā
merī sairābī bhī merī tishnagī se kam na thī
maiñ misāl-e-abr aayā sūrat-e-sahrā gayā
husn ke hamrāh chaltā thā julūsi-e-tishnagāñ
ishq tanhā dahr meñ aayā thā aur tanhā gayā
'mohsin'-ehsāñ kisī bādal kā TukḌā hai ki jo
ek lamhe ke liye aayā ghirā barsā gayā