mohabbatoñ kā ḳharīdār DhūñDne niklā
ḳhudā ḳhud aaj gunahgār DhūñDne niklā
kuchh is qadar thā añdherā ki sub.h kā sūraj
hamāre kūcha-o-bāzār DhūñDne niklā
mirī tarah kī farāsat hai kis ke paas ki maiñ
jo shahr ho gayā mismār DhūñDne niklā
badan kī dhuup ne vo haal kar diyā hai ki maiñ
ridā-e-sāya-e-ashjār DhūñDne niklā
ajiib majlis-e-ahl-e-kamāl hai ki yahāñ
har ek apnā taraf-dār DhūñDne niklā
na.ī sadī meñ purānī sadī kā sailānī
guzishta ahd ke āsār DhūñDne niklā
lab-e-furāt vo manzar thā dīdanī 'mohsin'
jab ik savār ko rahvār DhūñDne niklā