Mohsin Ehsan

safar mein yaad na aae koi Thikana hamein

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
safar meñ yaad na aa.e koī Thikāna hameñ
ġham-e-zamāna lagā aisā tāziyāna hameñ
amīr-e-shahr ne kāġhaz kī kashtiyāñ de kar
samundaroñ ke safar par kiyā ravāna hameñ
jahāñ se saath zamāne ko le ke chalnā thā
vahīñ pe chhoḌ ga.ī gardish-e-zamāna hameñ
har ek samt khaḌī haiñ buland dīvāreñ
tamām shahr nazar aa.e qaid-ḳhāna hameñ
mulūk-e-ham-nafasāñ dekh kar ye dhyān aayā
ki kaash phir mile dushman vahī purānā hameñ
havā-e-sub.h-e-dil-āzār itnī tez na chal
charāġh-e-shām-e-ġharībāñ haiñ ham bujhā na hameñ
nigāh paḌtī hai phir kyuuñ parā.ī sham.oñ par
agar aziiz hai 'mohsin' charāġh-e-ḳhāna hameñ
Top Urdushayar.com