Mohsin Ehsan

KHud apni zat ki tashhir ku-ba-ku kiye jaen

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
ḳhud apnī zaat kī tash.hīr kū-ba-kū kiye jaa.eñ
ḳhudā mile na mile us kī justujū kiye jaa.eñ
ajiib jaarī huā ab ke hukm-e-hākim-e-shahr
asiir saare taraf-dār-e-rañg-o-bū kiye jaa.eñ
hameñ pasand nahīñ zarf-e-mai meñ qatra-e-mai
hamāre sāmne ḳhālī ḳhum-o-subū kiye jaa.eñ
jahāñ bhī aa.eñ nazar chaak chaak dāman-e-dil
vo taar pairahan-e-ishq se rafū kiye jaa.eñ
kuchh ab ke aise paḌā sāya-e-tunuk-zarfī
samundaroñ ko bhī ham log aabjū kiye jaa.eñ
ḳhizāñ ne jin ke muqaddar meñ zardiyāñ likh diiñ
ham un gulāb-rutoñ ko bhī surḳh-rū kiye jaa.eñ
janāb-e-'mohsin'-e-ehsāñ se iltijā hai ki vo
pahuñch ga.e haiñ sar-e-āb to vuzū kiye jaa.eñ
Top Urdushayar.com