Mohsin Ehsan

shaKH-e-mizhgan-e-mohabbat pe saja le mujhko

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
shāḳh-e-mizhgān-e-mohabbat pe sajā le mujh ko
barg-e-āvāra huuñ sarsar se bachā le mujh ko
rāt-bhar chāñd kī ThanDak meñ sulagtā hai badan
koī tanhā.ī ke dozaḳh se nikāle mujh ko
duur rah ke bhī hai har saañs meñ ḳhushbū terī
maiñ mahak jā.ūñ jo tū paas bulā le mujh ko
maiñ tirī aañkh se Dhalkā huā ik aañsū huuñ
tū agar chāhe bikharne se bachā le mujh ko
shab ġhanīmat thī ki ye zaḳhm-e-nazāra to na thā
Das ga.e sub.h-e-tamannā ke ujāle mujh ko
maiñ munaqqash huuñ tirī ruuh kī dīvāroñ par
tū miTā saktā nahīñ bhūlne vaale mujh ko
sub.h se shaam huī rūThā huā baiThā huuñ
koī aisā nahīñ aa kar jo manā le mujh ko
tah-ba-tah mauj-e-talab khīñch rahī hai 'mohsin'
koī girdāb-e-tamannā se nikāle mujh ko
Top Urdushayar.com