dastakeñ sunte haiñ sab dar kholtā koī nahīñ
ḳhauf ghar maiñ is qadar hai boltā koī nahīñ
ik hujūm-e-tā.irāñ hai be-sakat be-hausla
bāl-o-par hote hue par toltā koī nahīñ
ai nigār-e-sub.h terī kār-farmā.ī kī ḳhair
ab rag-o-pai meñ añdhere gholtā koī nahīñ
ai kanār-e-bahr ye be-e'tinā.ī kis liye
sīpiyāñ maujūd haiñ aur roltā koī nahīñ
istaqāmat hai qayāmat kī sar-e-dariyā-e-ġham
har safīna mauj par hai Doltā koī nahīñ