ham bhī zinda haiñ ajab kāvish-e-iz.hār ke saath
guftugū karte haiñ ghar ke dar-o-dīvār ke saath
ham ne aise bhī faqīhān-e-haram dekhe haiñ
bech dete haiñ fazīlat bhī jo dastār ke saath
hairatī huuñ vo musalmāñ ko musalmāñ karne
sar-e-bāzār nikal aate haiñ do-chār ke saath
kyā zarūrat hai unheñ manzar-o-pas-manzar kī
jo kahānī hī badal dete haiñ kirdār ke saath
aise ḳhurshīd kī bhī ham ne pazīrā.ī kī
jo dam-e-sub.h nikaltā hai shab-e-tār ke saath
chiiz dukkāñ se uThā kar vahīñ rakh detā huuñ
roz ye hotā hai mujh aise ḳharīdār ke saath
'mohsin'-ehsān mashaqqat kī bhī had hotī hai
tum to mar jāoge bār-e-ġham-e-dil-dār ke saath