ḳhud apne aap se ye gila umr bhar kiyā
kaise tire firāq kā mausam basar kiyā
minqār se havā ne likhī dāstān-e-hijr
yuuñ harf-e-mo'tabar ko bhī nā-mo'tabar kiyā
kaisī havā chalī ki ma.an bārishoñ ke ba.ad
har be-gulāb rut ne gulistāñ meñ ghar kiyā
ḳhud ham ne kaaT kaaT dī zanjīr saañs kī
ḳhud ham ne zindagī kā safar muḳhtasar kiyā
be-āb ā.inoñ ko bhī ik aab baḳhsh dī
har chand be-hunar the ye kār-e-hunar kiyā
saare sutūn ret kī buniyād par uThā.e
ham ne kis ehtiyāt se ta.amīr ghar kiyā
duniyā simaT ke ek hī nukte meñ aa ga.ī
ham ne jab apnī zaat ke andar safar kiyā
thā miir jī ko izzat-e-sādāt kā ḳhayāl
ham ne suḳhan ko jins-e-dukān-e-hunar kiyā
mauqa.a-shanās qasr-e-havas meñ pahuñch ga.e
tai marhala uḌaan kā be-bāl-o-par kiyā
ḳhushbū mire badan se ḳhud aa kar lipaT ga.ī
'mohsin' ye kis dayār se maiñ ne guzar kiyā