thiraktī lau kī bas ik āḳhirī duā suntā
phir us ke ba.ad na kuchh mauja-e-havā suntā
mujhe bhī lagtī kuchh āsān manzil-e-dushvār
jo dūsroñ kī sadā-e-naqūsh-e-pā suntā
kuchh is qadar bhī zamāne meñ qaht-e-harf na thā
vo āshnā thā to āvāz-e-āshnā suntā
ba-juz zaḳhīra-e-auhām paas kuchh bhī nahīñ
ye baat kaash vo girvīda-e-anā suntā
use pukār chukā zindagī meñ haar chukā
mirā ḳhudā thā to phir merī iltijā suntā
ham ek umr se 'mohsin' ḳhumār-e-ḳhvāb meñ haiñ
hamārī baat zamāne meñ koī kyā suntā