zalzaloñ ne kiyā yuuñ shahr ko mismār ki bas
chīḳh uThe ḳhauf se bām-o-dar-o-dīvār ki bas
bārisheñ le ga.ī haiñ saarā asāsa merā
mehrbāñ itnā huā abr-e-guhar-bār ki bas
ab kisī dil meñ nahīñ mimbar-o-mehrāb kā ḳhabt
aise badnām hue jubba-o-dastār ki bas
itnī mai bhī na milī hoñT zarā tar karte
apnī taqdīr pe vo ro.e haiñ mai-ḳhvār ki bas
shahr-e-taḳhrīb meñ kyā ḳhvāhish ta.amīr kareñ
aise tārāj hue kūcha-o-bāzār ki bas
ab ke ḳhurshīd ne barsā.ī hai vo tārīkī
sar-barahna nikal aa.ī hai shab-e-tār ki bas
zulm vo zulm ajal DhūñDhtī phirtī hai panah
sabr vo sabr ki sharminda hai āzār ki bas
yār-o-aġhyār ne dekhā hai ta.ajjub se bahut
'mohsin'-ehsāñ pe thī vo tīroñ kī bauchhār ki bas