mirī navā mirī tadbīr tak nahīñ pahuñchī
ye mere ḳhvāb kī ta.abīr tak nahīñ pahuñchī
tire jamāl kā partav aziiz hai lekin
tirī adā tirī tasvīr tak nahīñ pahuñchī
yahī bahut hai ki ham manziloñ se ho aa.e
hamārī kaj-ravī tāḳhīr tak nahīñ pahuñchī
kamāñ se kaisī shikāyat ki vo hai nā-bīnā
hadaf kī be-nigahī tiir tak nahīñ pahuñchī
hamāre dil se uThī hausla-shikan āvāz
magar ye paañv kī zanjīr tak nahīñ pahuñchī
sisak rahī hai jo dahlīz-ḳhāna meñ dīmak
hazār shukr ki shahtīr tak nahīñ pahuñchī
havā meñ uThte rahe haath be-sabab 'mohsin'
chamak duāoñ kī tāsīr tak nahīñ pahuñchī