Mohsin Ehsan

is kaDi dhup ke sannaTe mein hairan hua

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
is kaḌī dhuup ke sannāTe meñ hairān huā
ghar se jo bhī nikal aayā vo pashemān huā
hasrateñ ḳhaak uḌātī haiñ har ik qarye meñ
dil ki ik shahr-e-nigārāñ thā bayābān huā
muddateñ guzrīñ to ik qatra guhar ban paayā
sadiyāñ bītīñ to kahīñ aadmī insān huā
sar-e-sāhil the to ye sail-e-balā kuchh bhī na thā
zad meñ jab aa.e to andāza-e-tūfān huā
ham sar-e-tūr bhī pahuñche magar ai husn-e-azal
tere milne kā na phir bhī koī imkān huā
sar jhukā.e hue kyuuñ baiThe haiñ arbāb-e-vafā
marhala kaun sā mushkil thā jo āsān huā
na dar-o-bām pe raunaq na jharokoñ meñ bahār
dil-e-vīrāñ kī tarah shahr bhī sunsān huā
tū bhī is ġham-kada-e-dahr meñ aa kar 'mohsin'
bū-e-gul kī tarah āvāra-e-hairān huā
Top Urdushayar.com