Mohsin Ehsan

khuli aankhon se sapna dekhne mein

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
khulī āñkhoñ se sapnā dekhne meñ
gañvā dī umr rasta dekhne meñ
bahā kar le ga.ī ik mauj-e-dariyā
bahut the mahv dariyā dekhne meñ
havā kūcha-ba-kūcha ro rahī hai
sajā hai qarya qarya dekhne meñ
jo barteñ to khuleñ sab bhed us ke
hasīñ lagtī hai duniyā dekhne meñ
darīchoñ se ye dil-āvez manzar
bure lagte haiñ tanhā dekhne meñ
nikal aatā hai kaḌvā zā.iqe meñ
jo phal hotā hai mīThā dekhne meñ
haqīqat meñ vo aisā to nahīñ hai
nazar aatā hai jaisā dekhne meñ
azāb-e-gumrahī meñ mubtalā haiñ
bhaTak jaate haiñ rasta dekhne meñ
qazā aksar namāzeñ ho ga.ī haiñ
nishān-e-samt-e-qibla dekhne meñ
ham ehrām-e-havas pahne hue haiñ
labāda hai ye ujlā dekhne meñ
vahīñ aksar shanāvar Dūbte haiñ
jo haiñ pāyāb dariyā dekhne meñ
yahī hai laġhzish-e-bīnā.ī 'mohsin'
ki ho mashġhūl duniyā dekhne meñ
Top Urdushayar.com