Mohsin Ehsan

kisi ke samne izhaar-e-dard-e-jaan na karun

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
kisī ke sāmne iz.hār-e-dard-e-jāñ na karūñ
udhar udhar kī kahūñ zaḳhm-e-dil ayaañ na karūñ
lagā ke aag badan meñ vo mujh se chāhtā hai
ki saañs luuñ to fazā ko dhuāñ dhuāñ na karūñ
maiñ us ko paḌhtā huuñ injīl-e-ārzū kī tarah
samajh meñ aa.e to ma.anī har ik bayāñ na karūñ
ġhazab hai mujh se tavaqqo zamāna rakhtā hai
ki pā-shikastagī meñ ranj-e-raftagāñ na karūñ
ye hukm mujh ko milā qasr-e-ḳhusravī se ki maiñ
fuġhāñ sunūñ magar andāza-e-fuġhāñ na karūñ
maze se so.uuñ agar haath aa.e shām-e-firāq
maiñ ek lamha bhī is shab kā rā.egāñ na karūñ
uThā ke sar pe phirūñ bār-e-ārzū 'mohsin'
kamar ko ḳham maiñ kabhī sūrat-e-kamāñ na karūñ
Top Urdushayar.com