raakh kuchh dil meñ ziyāda hai sharārā kam hai
ham ne is aa.ine meñ aks utārā kam hai
raushnī aaj ajab tīrgī-e-ḳhāk meñ hai
āsmāñ dekh tirā ek sitārā kam hai
DhūñDhtā phirtā huuñ ḳhār-o-ḳhas-o-ḳhāshāk meñ husn
merī bīnā.ī ko sauġhāt-e-nazārā kam hai
marg-e-yārān-e-suḳhan-sanj pe ḳhuuñ rotā huuñ
kyā karūñ sabr ki ab sabr kā yaarā kam hai
tum ko andāza-e-sailāb nahīñ hai 'mohsin'
bādaloñ ne jo kiyā kyā vo ishārā kam hai