ravāñ hai qāfila-e-justujū kidhar merā
koī samajh na sakā maqsad-e-safar merā
sukūn-e-rūh milā halqa-e-rasan meñ mujhe
vagarna bār-e-garāñ thā badan pe sar merā
maiñ apne haath ke chhāle dikhātā phirtā huuñ
dilā.e koī mujhe hissa-e-samar merā
har ik shajar hai mirā yuuñ to saare jañgal meñ
ajab sitam hai nahīñ sāya-e-shajar merā
kaho ye abr se kyā fā.eda barasne kā
ki ab to jal bhī chukā hai tamām ghar merā
isī liye mirī manzil na mil sakī mujh ko
ki mere saath ik rahzan thā ham-safar merā