sahar se ek kiran kī faqat talab thī mujhe
tamām raat magar bekalī ġhazab thī mujhe
kanār-e-shām pe surḳhī shafaq kī dauḌ ga.ī
lahū ugalne kī yuuñ aarzū bhī kab thī mujhe
pate kī ik na kahī sub.h ke ujāloñ meñ
ye aur baat ki azbar hadīs-e-shab thī mujhe
maiñ terī ruuh kī pahnā.ī meñ utar na sakā
ki tujh se sirf tamannā-e-lab-ba-lab thī mujhe
maiñ ḳhud hī bazm bhī aur ḳhud hī bazm-ārā bhī
ki nāgavār har ik mahfil-e-tarab thī mujhe
maiñ apne vaqt kā suqrāt to nahīñ lekin
jahāñ pe baat chhiḌī phir vahīñ pe shab thī mujhe
maiñ apnī zaat ke andar kabhī na jhāñk sakā
ye aur baat ki ye aarzū bhī kab thī mujhe
fasīl-e-shab se koī ab pukārtā hai to kyā
milā na ek bhī us din talāsh jab thī mujhe
shikāyat-e-shab-e-hijrāñ kabhī na kī 'mohsin'
hikāyat-e-ġham-e-dil varna yaad sab thī mujhe