aañkh tishna bhī nahīñ hoñT savālī bhī nahīñ
ye surāhī ki bharī bhī nahīñ ḳhālī bhī nahīñ
ham saḳhī dirham-o-dīnār liye phirte haiñ
shahr-e-nādār meñ ab koī savālī bhī nahīñ
kyuuñ girāne ke liye darpai āzār haiñ log
ham ne buniyād makāñ kī abhī Daalī bhī nahīñ
aisī makrūh kahānī kī ye tasvīr hai jo
sunñe vaalī bhī nahīñ dekhne vaalī bhī nahīñ
'mohsin'-ehsāñ kā hai andāz-e-junūñ sab se alag
ye jalālī bhī nahīñ hai ye jamālī bhī nahīñ