kaise kaheñ dar-ba-dar nahīñ ham
ghar meñ bhī haiñ aur ghar nahīñ ham
jo raah meñ saath chhoḌ jaa.eñ
aisoñ ke to ham-safar nahīñ ham
apnoñ kī koī ḳhabar na rakkheñ
itne bhī to be-ḳhabar nahīñ ham
uTh jaa.e kab apnā āb-o-dāna
insāñ haiñ koī ḳhizar nahīñ ham
dekheñ na uThā ke aañkh us ko
aise bhī to kam-nazar nahīñ ham
sach hai ki ḳhudā ke rū-ba-rū bhī
sharminda ḳhatāoñ par nahīñ ham
har an-kahī baat sun rahe haiñ
dīvār haiñ koī dar nahīñ ham