Mohsin Ehsan

tamasha is baras aisa hua hai

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
tamāshā is baras aisā huā hai
samundar suukh kar sahrā huā hai
hameñ bhejā to hai duniyā meñ lekin
hamāre saath kuchh dhokā huā hai
mujhe lagtā hai jādūgar ne mujh ko
kisī zanjīr se bāñdhā huā hai
jahāñ par shādyāne baj rahe haiñ
mirā lashkar vahīñ paspā huā hai
jo mere aur us ke darmiyāñ thī
usī dīvār par jhagḌā huā hai
asīrān-e-qafas ye pūchhte haiñ
muqīmān-e-chaman ko kyā huā hai
ka.ī din se bas ik harf-e-mohabbat
sar-e-nok-e-zabāñ aTkā huā hai
guzargāhoñ meñ sannāTā hai 'mohsin'
ġhubār-e-ham-rahāñ baiThā huā hai
Top Urdushayar.com