Mohsin Ehsan

KHud se na-KHush ghair se bezar hona tha hue

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
ḳhud se nā-ḳhush ġhair se bezār honā thā hue
ham ko gard-e-kūcha-o-bāzār honā thā hue
jin kī saarī zindagī darbār-dārī meñ kaTī
un ko rusvā bar-sar-e-darbār honā thā hue
ham meñ kuchh rindān-e-ḳhush-auqāt aise the jinheñ
jānashīn-e-jubba-o-dastār honā thā hue
ham kabhī shamshīr-e-jauhar-dār the lekin hameñ
dast-e-nāhanjār meñ talvār honā thā hue
apnā ghar jī khol kar tārāj karnā thā kiyā
apne hāthoñ ḳhud hameñ mismār honā thā hue
jin ko saarī zindagī zom-e-masīhā.ī rahā
un ko āḳhir ek din bīmār honā thā hue
tum sar-e-sāhil Dubo baiThe ho 'mohsin' kashtiyāñ
jin safīnoñ ko samundar paar honā thā hue
Top Urdushayar.com