Mohsin Ehsan

saba mein tha na dil-awezi-e-bahaar mein tha

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
sabā meñ thā na dil-āvezī-e-bahār meñ thā
vo ik ishāra ki is chashm-e-vaz.a-dār meñ thā
guzar kuchh aur bhī āhista ai nigār-e-visāl
ki ek umr se maiñ tere intizār meñ thā
havā-e-dahr kī zad meñ bhī aa ke bujh na sakī
balā kā hausla ik sham-e-rahguzār meñ thā
ham apnī dhun meñ chale aa.e jānib-e-manzil
palaT ke dekhā to ik kārvāñ ġhubār meñ thā
milā to phuul khil uTThe the shāḳh-e-mizhgāñ par
judā huā to lahū chashm-e-ashk-bār meñ thā
tujhe pukār ke chup ho ga.e haiñ dīvāne
bas ek nāra-e-mastāna iḳhtiyār meñ thā
ab ik kiran bhī nahīñ nīm-vā darīche meñ
ḳhushā vo din ki koī mere intizār meñ thā
havā-e-kam-nigahī ne bujhā diyā varna
meñ vo charāġh ki raushan harīm-e-yār meñ thā
tirī nigāh se ojhal sahī magar 'mohsin'
ḳhizāñ kā aks bhī ā.īna-e-bahār meñ thā
Top Urdushayar.com