bahte hue lamhoñ kī kahānī hī badal de
dariyā to badaltā nahīñ paanī hī badal de
yā ghar ko mire daulat-e-ārām-o-sukūñ baḳhsh
yā ārzū-e-naql-makānī hī badal de
kyā us se kareñ zahmat-e-takrār ki jo shaḳhs
alfāz ke mahfūm-o-ma.ānī hī badal de
tarmīm-o-tanvvo hai kahānī meñ zarūrī
raajā to badaltā nahīñ raanī hī badal de
us ghar kī taraf us kī nishānī pe chale ho
'mohsin' vo agar ghar kī nishānī hī badal de