Mohsin Ehsan

hausla tu ne diya dukh ki pazirai ka

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
hausla tū ne diyā dukh kī pazīrā.ī kā
mujh ko andāza na thā zaḳhm kī gahrā.ī kā
ḳhushbueñ phuul se ab izn safar māñgtī haiñ
is qadar qaht paḌā shahr meñ goyā.ī kā
ab nigāhoñ meñ na manzar hai na pas-manzar hai
ek ilzām in āñkhoñ pe hai bīnā.ī kā
sar-e-dahlīz pareshān-o-sarāsīma huuñ
dar muqaffal huā mujh par mirī tanhā.ī kā
silsile TuuT chuke saare mohabbat ke magar
sur se ik rabt hai qaa.em abhī shahnā.ī kā
is qadar jhuuT rachā hai rag-o-pai meñ 'mohsin'
chehra ab masḳh nazar aatā hai sachchā.ī kā
Top Urdushayar.com