Asad Jafri

KHayal yar mujhe jab lahu rulane laga

Asad Jafri

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1935
ḳhayāl yaar mujhe jab lahū rulāne lagā
to zaḳhm zaḳhm mire dil kā muskurāne lagā
mujhe ḳhud apnī vafā par bhī e'timād nahīñ
maiñ kyuuñ tumhārī mohabbat ko āzmāne lagā
kiyā hai yaad mujhe mere ba.ad duniyā ne
huā jo ġharq to sāhil qarīb aane lagā
na chhīn mujh se surūr-e-shab-e-firāq na chhīn
qarār-e-dil ko na dastak ke tāziyāne lagā
misāl apnī to hai is daraḳht kī ki jise
lagā jo sañg to badle meñ phal girāne lagā
har ek samt riyā kī tamāzateñ haiñ 'asad'
jo ho sake to mohabbat ke shāmiyāne lagā
Top Urdushayar.com