Mohsin Ehsan

asir-e-halqa-e-zanjir-e-jaan hua hai ye dil

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
asīr-e-halqa-e-zanjīr-e-jāñ huā hai ye dil
kisī pe ronā kahāñ mehrbāñ huā hai ye dil
ik iztirāb-e-musalsal meñ kaT rahī hai hayāt
shikār-e-sāzish-e-sūd-o-ziyāñ huā hai ye dil
jabīñ ba-ḳhāk nahum chashm bar-sitāra-e-sub.h
kabhī zamīn kabhī āsmāñ huā hai ye dil
bahut dinoñ se thī maddham charāġh-e-dard kī lau
ḳhud apnī aañch se sho.ala-ba-jāñ huā hai ye dil
ḳhumār-e-hijr thā aisā ukhaḌ ga.iiñ sāñseñ
giraft-e-dard thī aisī fuġhāñ huā hai ye dil
jahāñ ne dekhā nahīñ aisā girya-o-mātam
jab apnī maut pe nauha-kunāñ huā hai ye dil
hamārā kyā hai ki bas ham haiñ ek musht-e-ġhubār
khulī fazā jo milī pur-fishāñ huā hai ye dil
ajab qayām-o-safar kā hai marhala 'mohsin'
Thahar ga.ī hai nazar to ravāñ huā hai ye dil
Top Urdushayar.com