faqat kāġhaz pe likhā bār-e-azīyat utrā
jab ġhazal kah lī to zañgār-e-tabī.at utrā
bhuuk se marte rahe ḳhema-e-aflās meñ log
āsmāñ se na magar ḳhvāncha-e-nemat utrā
maañ ne tāvīz bhī bāñdhā mire baazū pe magar
phir bhī sar se na ye saudā-e-mohabbat utrā
dil-sarā.e meñ tamannā.eñ haiñ sar nehūḌā.e
kaun bastī meñ vo mehmān-e-masarrat utrā
apne qad kī use pahchān bahut mushkil thī
sar se jab turra-e-dastār-e-fazīlat utrā
maiñ na ġham-ḳhvār-e-shahanshā na talab-gār-e-kul
mujh pe kis vāste āshob-e-qayāmat utrā
bānu-e-shahr-e-adab ke liye is ahd meñ harf
kitnā be-māyā-o-mahrūm-e-sadāqat utrā
sar kī fasloñ ko bachā le ga.e sab log magar
ek 'mohsin' sar-e-maidān-e-hilākat utrā