nigār-e-fan pe harīfān-e-sher kī yalġhār
niyām-e-harf kahāñ hai ḳhayāl kī talvār
rahīn-e-marg-e-tamannā thī kāmrānī-e-vasl
jhulas gayā hai mujhe qurb-e-sho.ala-e-ruḳhsār
havā kuchh aisī chalī dasht-e-nā-murādī se
ujaḌ ke bas na sake phir kabhī diloñ ke dayār
kaḌaktī dhuup meñ ab aur kis jagah baiThūñ
simaT ke ban gayā dīvār sāya-e-dīvār
jalā ga.ī hai mirī aag pairahan merā
maiñ kyā gila karūñ tujh se charāġh-e-mahfil-e-yār
zarā rasā.ī-e-manzil-gah-e-murād to dekh
chale the shahr-e-vafā se pahuñch ga.e sar-e-dār
ye kis ne sard gulistāñ kā zikr chheḌā hai
nikhar chalā hai nigāhoñ meñ paikar-e-qad-e-yār
ye kis jazīra-e-be-rañg-o-bū meñ baste haiñ
na tā.irān-e-ajam haiñ na āhūvān-e-tatār
ye kaun guzrā hai 'mohsin' ḳharāba-e-dil se
ki uḌ rahā hai har ik samt hasratoñ kā ġhubār