dukhoñ ke dasht ġhamoñ ke nagar meñ chhoḌ aa.e
vo ham-safar ki jinheñ ham-safar meñ chhoḌ aa.e
bahut jamīl sī yādoñ ko saath le aa.e
bahut malūl se chehroñ ko ghar meñ chhoḌ aa.e
baḌe qarīne se ham aa ga.e kināre par
baḌe salīqe se kashtī bhañvar meñ chhoḌ aa.e
kis ehtimām se ab tak pukārtī haiñ hameñ
vo chāhateñ jinheñ dīvār-o-dar meñ chhoḌ aa.e
bahut ajiib the vo log jo dam-e-ruḳhsat
ka.ī kahāniyāñ us chashm-e-tar meñ chhoḌ aa.e
na din hī phirte haiñ 'mohsin' na shab badaltī hai
vatan ko kaun se shām-o-sahar meñ chhoḌ aa.e