sar pe teġh-e-be-amāñ hāthoñ meñ pyāla zahr kā
kis tarah hoñToñ pe lā.ūñ haal apne shahr kā
bah rahe haiñ pāniyoñ meñ ghar safīnoñ kī tarah
sāhiloñ se is tarah uchhlā hai paanī nahr kā
us badan par ab qabā-e-shaharyārī tañg hai
jis ne chhīnā hai kafan tak har ġharīb-e-shahr kā
rañg āñkhoñ meñ ajab qaus-e-quzah ke ghul ga.e
dīdanī hai mauj meñ aanā lahū kī lahr kā
dushmanī kī mai to chhalkī hai bahut 'mohsin' magar
zā.iqa kuchh aur hī hai dostī ke zahr kā