Mohsin Ehsan

ek talatum sa hai har samt tamannaon ka

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010
ik talātum sā hai har samt tamannāoñ kā
dil pe hotā hai gumāñ shahr hai dariyāoñ kā
tū bhī ik baar mirī ruuh ke ā.īne meñ
jhāñk kar dekh taqaddus hai kalīsāoñ kā
haañ magar qatl-gah-e-shauq meñ kuchh aur bhī the
haath kyuuñ mujh pe uThā mere masīhāoñ kā
ab ke ghanghor ghaTā khul ke jo barse bhī to kyā
dhuup ne rañg hī kajlā diyā sahrāoñ kā
ab sar-e-dasht-e-ḳhud-ārā.ī khaḌā huuñ tanhā
maiñ ki dūlhā thā kabhī anjuman-ārāoñ kā
'mohsin'-ehsān kī is sāda-dilī ke sadqe
dhuup meñ DhūñDhtā phirtā hai mazā chhāñv kā
Top Urdushayar.com