tīrgī hai sahn meñ tābindagī dīvār par
aa.ine jaḌtī rahī hai zindagī dīvār par
sab jalāl-e-mansabī sail-e-fanā le jā.egā
laakh ham likhte raheñ pā.indagī dīvār par
zulmateñ umDīñ kuchh aise khā ga.iiñ harfoñ kā nuur
ḳhūn-e-dil se kī thī kuchh raḳhshandagī dīvār par
bām-o-dar ko dekhtī rahtī haiñ merī hasrateñ
kaun chaspāñ kar gayā sharmindagī dīvār par
do ghaḌī saa.e meñ vo Thahrā thā lekin aaj tak
hai ajab ik ālam-e-raqsandagī dīvār par
umr bhar ham ne kiye haiñ jam.a murda-tajribe
aur samajhte haiñ ki likh dī zindagī dīvār par